Khuda bhi jab tuhme mere pas dekhta hoga Lyrics

Khuda bhi jab tuhme  mere pas dekhta hoga
Khuda bhi jab tuhme  mere pas dekhta hoga
Etani anmol chij de di kaise, sochta hoga
Tu bemisal hai , Teri kya misal du
Aasma se aayi hai , Yahi kah ke tal du
Fir bhi koi jo puchhe , Kya hai tu jaisi hai
Hanthon me rang leke , Hawa me uchhal du
(hawa me uchhal du)

Khuda bhi jab tuhme  mere pas dekhta hoga
Etani anmol chij de di kaise, Sochta hoga

Jo bhi jami tere paon tale aaye
Kadmo se chhu ke wo aasma ho jaye
Tere aage fike-fike sare shringar hai
Mai to kya farishte bhi tujhpe nisar hai
Garmi ki sham hai tu jadu ki dhoop hai
Jitne bhi mausam hai  tere karazdar hai
(tere karazdar hai..)

Khuda bhi jab tere andaz dekhta hga
Etani anmol chij de di kaise, sochta hoga

Chehra hai ya jadu ,  rup hai ya khwab hai
Aankhe hai ya aafsana  , Jism ya kitab hai
Aaja tujhe mai padh lu , Dil me utar lu
Hothon se dekhu tujhe ,aankho se pukar lu
Khwahishein ye kahti hai , Kahti rahti hai
Leke tujhe baahon me ,shamein gujar lu
(shamein gujar lu..)

Khuda bhi aab tujhe din rat dhundhata hoga
Etani anmol chij de di kaise, sochta hoga

Comments