Kuch toh majbooriyaan rahi hongi
Yun koi bewafa nahi hota
Jee bohat chahta hain sach bolen
Kya karen hausla nahi hota
Apna dil bhi tatol kar dekho
Faasla bewajha nahi hota
Ek imarat lab-e-jamuna wohi andaaz-o-adaa
Moghuliya daur ki ghammaaz nazar aati hai
Jab bhi mahtaab ki halki si kiran padti hai
Taj ki shakl mein mumtaz nazar aati hai
Raath teri nahi, raath meri nahi
Jisne aankhon mein kaati wohi payega
Koi kuch bhi kahay, aur mein chup rahoon
Ye saleeqa mujhe jaane kab ayega
Chaand jaisa badan, phool sa pairahan
Jaane kitne dilon pe ghazab dhayega
Aajkal tum qayamat se kuch kamm nahi
Jo bhi dekhega deewana hojayega
Lekin jaan-e-mann
Too kisi aur ki jaagir hai aye jaan-e-ghazal
Log toofan uthadenge, mere saath na chal
Jo mere shaher mein kuch roshni laaye hongay
Un charaghon ne kayi ghar bhi jalaye hongay
Haath uske bhi yakeenan huwe hongay zakhmi
Jisne kaante meri raahon mein bichaaye hongay
Ek aashiq ne raath pichle paher
Apne mehboob ke na aane par
Kardiye tajmahal ke tukday
Aab-e-jamuna mein phenk kar paththar
Bheeg jaati hain jo palken kabhi tanhaai mein
Kaamp uth-ta hoon mera dard koi jaan na lay
Yun bhi darta hoon ke aise mein achanak koi
Meri aankhon mein tumhe dekh ke pehchaan na le
Ek sabr hai iske siwa kuch paas nahi hai
Barbaad-e-tammanaon ka ehsaas nahi hai
Kamzarf nahi hoon ke jo mein maang ke peeloon
Aur ye bhi nahi hai ke mujhe pyaas nahi hai
Har sanam-saaz ne paththar pe tarasha tujhko
Par wo pighli hui raftaar kahan se laata
Tere pairon mein toh paazeb pehna di lekin
Tere paazeb ki jhankaar kahan se laata
Chandi jaisa rang hai tera, Sonay jaise baal
Ek too hi dhanwaan hai gori, baaki sab kangaal
Too kisi aur ki jaagir hai aye jaan-e-ghazal
Log toofan uthadenge, mere saath na chal
Soz mein too hai saaz mein too hai
Mere jeene ka raaz bhi too hai
Saari duniya mein noor tera hai
Tere bin har taraf andhera hai
Dil tera aur dharkanen teri
Too hi kul kaayinaat hai meri
Ek ek gaam justjoo teri
Ek ek saans arzoo teri
Chaand chupta hai sharm ke maaray
Teri raahon ki dhool hai taaray
Ye taqallul nahi haqeeqat hai
Tera koocha nahi hai jannat hai
Ek musavvir ka shahkaar hai too
Chashm-e-nargiz ka intezaar hai too
Rang bhi too hai, raag bhi too hai
Phool bhi too hai, khaar bhi too hai
Zeest ki wardaat kuch bhi nahi
Too nahi toh hayaat kuch bhi nahi
Saans lena toh ek bahana hai
Zindagani tera taraana hai
Ye shabaab aur ye jamaal kahan
Is jahaan mein teri misaal kahan
Par Log toofan uthadenge, mere saath na chal
Too kisi aur ki jaagir hai aye jaan-e-ghazal
Log toofan uthadenge, mere saath na chal
Surkh aanchal jo tera dhalka hai
Jaam rangeeniyon ka chalka hai
Husn chilman se jab ke chanta hai
Tab kahin ek sher banta hai
Tere hont is tarah se hilte hain
Jaise champa ke phool khilte hain
Aye zafar ke shawoor ki mallika
Husn ki mai na is tarah challka
Tujhse bekhud ne bekhudi paayi
Aur faani ne zindagi paayi
They pujari tere firaaq-o-majhaal
Tere shai-dai they qateel-o-faraaz
Tere saudaai hain shameem-o-qumaar
Uff tera husn tera singaar
Jab jawaani teri machalti hai
Sher mein kaayinaat dhalti hai
Tere jalwon ki chamak
Mere shehron ki chanak
Par Log toofan uthadenge, mere saath na chal
Too kisi aur ki jaagir hai aye jaan-e-ghazal
Log toofan uthadenge, mere saath na chal
Too ke Qayyam ki rubaai hai
Ek chalakti hui suraahi hai
Too ke aatish ke dil ka shola hai
Aur Naasiq ke funn ka jalwa hai
Mirza sauda ka too qaseeda hai
Aur yazaana ka too hi kaaba hai
Too hai Insha ke khwaab ki taabir
Aur hai mus-haqee ka husn-e-zameer
Tujhse thi taansen ki har taan
Tujhpe baiju bhi dil se tha qurbaan
Too hai ghalib ka zaukh-e-laa faani
Aur momin ki tarz-e-wajdaani
Zauq ke fann ki aabroo too hai
Daagh ke dil ki aarzoo too hai
Josh ne tujhko pyar se pooja
Jigar ne tujhe salaam kiya
Jitne funkaar benazir huwe
Teri zulfon ke sab aseer huwe
Par Log toofan uthadenge, mere saath na chal
Too kisi aur ki jaagir hai aye jaan-e-ghazal
Log toofan uthadenge, mere saath na chal
Tujhko Allah ne baksha hai jo ye husn-o-adaa
Pesh karte hain tujhe sab hi mohabbat ka qiraa
Aur dilwaalon ki duniya mein hai bass tera hi raaj
Teri mastaana qiraami pe bahaaren qurbaan
Tere aanchal ki parastaar hai mauj-e-toofan
Tujhpe hota hai kisi hoor ke paikar ka gumaan
Tere jazbaat ki keemat nahi samjhega koi
Tera kirdaar-e-sharafat nahi samjhega koi
Teri pakeezah mohabbat nahi samjhega koi
Mein tere pyar ko ruswa nahi honay doonga
Tere saaaye ko bhi maila nahi honay doonga
Yun sar-e-raah tamasha nahi honay doonga
Maan bismill ka kaha, Apne iraade too badal
Log toofan uthadenge, mere saath na chal
Too kisi aur ki jaagir hai aye jaan-e-ghazal
Log toofan uthadenge, mere saath na chal
Uske nazdeek gham-e-tark-e-wafa kuch bhi nahi
Mutmayeen aise hain wo jaise huwa kuch bhi nahi
Ab toh haathon se lakeeren bhi miti jaati hain
Usko khokar toh mere paas raha kuch bhi nahi
Kal bicharna toh phir ahd-e-wafa soch ke baandh
Ab bhi aagaaz-e-mohabbat hai gaya kuch bhi nahi
Mein toh is waaste se chup hoon ke tamasha na baney
Log toofan uthadenge, mere saath na chal
Too kisi aur ki jaagir hai aye jaan-e-ghazal
Log toofan uthadenge, mere saath na chal
Hazaar ranj sar aankh pe, baath hi kya hai
Teri khushi ke tassaduq, meri khushi kya hai
Khuda bachaye teri mast mast aankhon se
Farishta ho to bahek jaye, aadmi kya hai
Aafat hai tera husn, ghazab teri jawaani
Allah bachaye tujhe duniya ki nazar se
Log toofan uthadenge, mere saath na chal
Too kisi aur ki jaagir hai aye jaan-e-ghazal
Log toofan uthadenge, mere saath na chal
Lillah maaf kijiye, nazdeek aaiye
Kal raath jo hua hai, usay bhool jaaiye
Yun toh pal bhar mein sulaj jaati hain uljhi zulfen
Umr katt jaati hai par waqt ke suljhaane mein
Kal mila waqt toh zulfen teri suljhaaloonga
Aaj uljha hoon zara waqt ke suljhaane mein
Aye meri jaan-e-ghazal
Aye meri jaan-e-ghazal
Dekh kitna haseen mausam hai
Har taraf ek ajeeb aalaam hai
Zarre is tarah aaj nikhre hain
Jaise taaray zameen pe bikhre hain
Chaand ne chaandni bichaadi hai
Pyar ki anjuman sajaadi hai
Too ne duniye meri badal di hai
Phir bhi jaane ki tujhko jaldi hai
Maan le baath na ja, na ja na ja
Aye meri jaan-e-ghazal
Aye meri jaan-e-ghazal
Udhar waalon mein tanggi ho rahi hai khamm nikalta hai
Idhar ragg ragg se khich khich kar hamara damm nikalta hai
Ilahi qair ho uljhan pe uljhan badhti jaati hai
Na unka khamm nikalta hai na mera damm nikalta hai
Marham ke liye marham ko gaye, marham na mila marr hum bhi gaye
Ek pari ke zakhmon pe karne ko hum marham gaye
Wo bhali changi rahi muft mein marr hum gaye
Hayaa aayi, adaa aayi, ghuroor aaya, hijaab aaya
Hazaaron aafat lekar, haseenon par shabaab aaya
Jo tum aaye toh neend aayi
Jo neend aayi toh khwaab aaya
Magar teri judaai mein, na neend aayi na khwaab aaya
Aye meri jaan-e-ghazal
Aye meri jaan-e-ghazal
Door waadi mein doodhiya baadal
Jhuk ke parbat ko pyar karte hain
Dil mein nakaam hasraten lekar
Hum tera intezaar karte hain
Jhonk khaati hai kamar unke isi baais se
Kamar-e-naazuk-e-jaana pe koi till hoga
Nazakat isko kehte hain nishaan ab tak hai zaanon par
Ke saaaya padgaya tha kal mere daamaan ke salwat ka
Kal jo rangne mein zara gehra gulaabi hogaya
Naazuki dekho ke us buth ki kamar balkhagayi
Abroo na sanwara karo, kat jayegi ungli
Nadaan kabhi talwaar se khela nahi karte
Tumhari aankhen khumaar parwar
Badan ye meena, ye hont saagar
Hamari tauba na rehne dega
Ye chalta phirta sharaab khaana
Ab mein samjha tere rukhsaar pe till ka matlab
Daulat-e-husn pe darbaan bitha rakha hai
Allah banata humay mothi teri natth ka
Bosa kabhi rukhsaar ka lete, kabhi labb ka
Jab tumhe jaana hi tha, toh kyun liya aane ka naam
Jaan de doonga jo toonay, ab liya jaane ka naam
Aye meri jaan-e-ghazal
Aye meri jaan-e-ghazal
Comments
Post a Comment